So friends in this blog post we have brought you Barsaat Poetry in Urdu which you can read and also share with your friends.

I hope you will like this Poetry and do share your valuable opinion in comment for your favorite Poetry.

Click for more

Famous Barsaat Poetry in Urdu

phir layi hai barsaat tri yaad ka mausam

Gulshan mein naya phool khula dekh raha hon

Barsaat Poetry in Urdu

پھر لائی ہے برسات تری یاد کا موسم

گلشن میں نیا پھول کھلا دیکھ رہا ہوں

 

atay nahi hain deedaa giryaan ke samnay

baadal bhi karte hain meri barsaat ka lehaaz

Barsaat Poetry in Urdu

آتے نہیں ہیں دیدہ گریاں کے سامنے

بادل بھی کرتے ہیں مری برسات کا لحاظ

 

gir kabhi rona hi par jaye to itna rona

aa ke barsaat tre samnay tauba kar le

Barsaat Poetry in Urdu

گر کبھی رونا ہی پڑ جائے تو اتنا رونا

آ کے برسات ترے سامنے توبہ کر لے

 

aankh bhar aayi kisi se jo mulaqaat hui

khushk mausam tha magar toot ke barsaat hui

Barsaat Poetry in Urdu

آنکھ بھر آئی کسی سے جو ملاقات ہوئی

خشک موسم تھا مگر ٹوٹ کے برسات ہوئی

 

aankhon se mohabbat ke isharay nikal aaye

barsaat ke mausam mein setaaray nikal aaye

Barsaat Poetry in Urdu

آنکھوں سے محبت کے اشارے نکل آئے

برسات کے موسم میں ستارے نکل آئے

 

do baadal aapas mein miley thay phir aisi

barsaat hui

jism ne jism se sargoshi ki rooh ki rooh

se baat hui

Barsaat Poetry in Urdu

دو بادل آپس میں ملے تھے پھر ایسی برسات ہوئی

جسم نے جسم سے سرگوشی کی روح کی روح سے بات ہوئی

 

dil ki khaiti sookh rahi hai kaisi yeh barsaat hui

khowaboon ke baadal atay hain lekin

aag barasti hai

Barsaat Poetry in Urdu

دل کی کھیتی سوکھ رہی ہے کیسی یہ برسات ہوئی

خوابوں کے بادل آتے ہیں لیکن آگ برستی ہے

 

mein ruk gaya charhi hui nadi ke samnay

kuch waqt mere paas tha barsaat ke liye

Barsaat Poetry in Urdu

میں رک گیا چڑھی ہوئی ندی کے سامنے

کچھ وقت میرے پاس تھا برسات کے لیے

 

meri is chasham tar se abr baran ko

hai kya nisbat

ke woh darya ka pani aur yeh khoon

dil hai barsati

Barsaat Poetry in Urdu

مری اس چشم تر سے ابر باراں کو ہے کیا نسبت

کہ وہ دریا کا پانی اور یہ خون دل ہے برساتی

 

tera ghar aur mera jungle bheegta hai sath sath

aisi barastein ke baadal bheegta hai sath sath

Barsaat Poetry in Urdu

تیرا گھر اور میرا جنگل بھیگتا ہے ساتھ ساتھ

ایسی برساتیں کہ بادل بھیگتا ہے ساتھ ساتھ

 

yun barasti hain tasawwur mein purani yaden

jaisay barsaat ki rim jhim mein samaa hota hai

Barsaat Poetry in Urdu

یوں برستی ہیں تصور میں پرانی یادیں

جیسے برسات کی رم جھم میں سماں ہوتا ہے

 

dhoop mein kon kisay yaad kya karta hai

par tre shehar mein barsaat to hoti hogi

Barsaat Poetry in Urdu

دھوپ میں کون کسے یاد کیا کرتا ہے

پر ترے شہر میں برسات تو ہوتی ہوگی

 

hum ne barsaat ke mausam mein jo chahi tauba

abr is zor se girja ke Ellahi tauba

Barsaat Poetry in Urdu

ہم نے برسات کے موسم میں جو چاہی توبہ

ابر اس زور سے گرجا کہ الٰہی توبہ

 

mohabbat ke gharon ke kachay pan ko

yeh kahan samjhain

un aankhon ko to bas aata hai

barastein barri karna

Barsaat Poetry in Urdu

محبت کے گھروں کے کچے پن کو یہ کہاں سمجھیں

ان آنکھوں کو تو بس آتا ہے برساتیں بڑی کرنا

 

abr aankhon se utthay hain tra daman mil jaye

hukum ho tera to barsaat mukammal ho jaye

Barsaat Poetry in Urdu

ابر آنکھوں سے اٹھے ہیں ترا دامن مل جائے

حکم ہو تیرا تو برسات مکمل ہو جائے

 

Johar tumhe nafrat hai bohat baadah kashi se

barsaat mein dekhen ge hum inkaar tumhara

Barsaat Poetry in Urdu

جوہرؔ تمہیں نفرت ہے بہت بادہ کشی سے

برسات میں دیکھیں گے ہم انکار تمہارا

 

barsaat ka maza tre gaisu dikha gaye

aks aasman par jo para abr chhaa gaye

Barsaat Poetry in Urdu

برسات کا مزا ترے گیسو دکھا گئے

عکس آسمان پر جو پڑا ابر چھا گئے

 

woh jin aankhon mein thi barsaat ke

manzar ki jhalak

ab un aankhon mein safedi nah siyahi

nah dhanak

Barsaat Poetry in Urdu

وہ جن آنکھوں میں تھی برسات کے منظر کی جھلک

اب ان آنکھوں میں سفیدی نہ سیاہی نہ دھنک

 

aik to marzi nah thi jane ko meri is taraf

Tas pay dil aankhon se baran khoo ka

barsata raha

Barsaat Poetry in Urdu

ایک تو مرضی نہ تھی جانے کو میری اس طرف

تس پہ دل آنکھوں سے باراں خوں کا برساتا رہا

 

ruki ruki si hai barsaat khushk hai sawan

yeh aur baat ke mausam yahi numoo ka hai

Barsaat Poetry in Urdu

رکی رکی سی ہے برسات خشک ہے ساون

یہ اور بات کہ موسم یہی نمو کا ہے

 

thora sa kahin jama bhi rakh dard ka pani

mausam hai koi khushk sa barsaat se agay

Barsaat Poetry in Urdu

تھوڑا سا کہیں جمع بھی رکھ درد کا پانی

موسم ہے کوئی خشک سا برسات سے آگے

 

kya kahani ko isi mourr pay rukna hoga

roshni hai nah samandar hai nah barastein hain

Barsaat Poetry in Urdu

کیا کہانی کو اسی موڑ پہ رکنا ہوگا

روشنی ہے نہ سمندر ہے نہ برساتیں ہیں

 

maza barsaat ka chaho to inn aankhon

me aa bithu

Safaidi hai, siyahi hai, shafaq hai, abre baran hai

Barsaat Poetry in Urdu

مزہ برسات کا چاہو تو اِن آنکھوں میں آبیٹھو

سپیدی ہے ، سیاہی ہے ، شفق ہے ، ابرِ باراں ہے

 

ho gi barsaat bhi chaye bhi magar waqt nahi

aisay aljhiN ge kahani mein nahi socha tha

Barsaat Poetry in Urdu

ہو گی برسات بھی چائے بھی مگر وقت نہیں ایسے

اُلجھیں گے کہانی میں نہیں سوچا تھا

 

mere armaan thay barsaat ke baadal ki terhan

ghunche shaaki hain ke yeh abr bohat kam barsa

Barsaat Poetry in Urdu

میرے ارمان تھے برسات کے بادل کی طرح

غنچے شاکی ہیں کہ یہ ابر بہت کم برسا

 

ghata dekh kar khush huien larkiyan

chaton par khulay phool barsaat ke

Barsaat Poetry in Urdu

گھٹا دیکھ کر خوش ہوئیں لڑکیاں

چھتوں پر کھلے پھول برسات کے

 

hum to samjhay thay ke barsaat

mein barsay gi sharaab

aayi barsaat to barsaat ne dil toar diya

Barsaat Poetry in Urdu

ہم تو سمجھے تھے کہ برسات میں برسے گی شراب

آئی برسات تو برسات نے دل توڑ دیا

 

barsaat ka baadal to deewana hai kya jane

kis raah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai

Barsaat Poetry in Urdu

برسات کا بادل تو دیوانہ ہے کیا جانے

کس راہ سے بچنا ہے کس چھت کو بھگونا ہے

 

bheegi matti ki mehak pyaas barha deti hai

dard barsaat ki boundon mein basa karta hai

Barsaat Poetry in Urdu

بھیگی مٹی کی مہک پیاس بڑھا دیتی ہے

درد برسات کی بوندوں میں بسا کرتا ہے

 

Mosam ki ada aaj bhi par Kaif hai laikin

ik guzri hui barsaat ki hasrat nahi jati

Barsaat Poetry in Urdu

موسم کی ادا آج بھی پر کیف ہے لیکن

اک گزری ہوئی برسات کی حسرت نہیں جاتی

Leave A Reply

Please enter your comment!
Please enter your name here